Paas aaye
Dooriyaan phir bhi kam naa hui
Ek adhuri si hamari kahani rahi
Aasmaan ko zameen, ye zaroori nahi
Jaa mile, jaa mile
Ishq saccha wahi
Jisko milti nahi manzilein, manzilein
Rang thhe, noor tha
Jab kareeb tu tha
Ek jannat sa tha, yeh jahaan
Waqt ki ret pe kuch mere naam sa
Likh ke chhod gaya tu kahaan
Hamari adhuri kahani
Hamari adhuri kahani
Khushbuon se teri yunhi takra gaye
Chalte chalte dekho na hum kahaan aa gaye
Jannatein agar yahin
Tu dikhe kyon nahin
Chaand suraj sabhi hai yahaan
Intezar tera sadiyon se kar raha
Pyaasi baithi hai kab se yahaan
Humari adhoori kahaani
Humari adhoori kahaani
Pyaas ka ye safar khatam ho jayega
Kuch adhura sa jo tha poora ho jayega
Jhuk gaya aasmaan
Mill gaye do jahaan
Har taraf hai milan ka samaa
Doliya hain saji, khushbuein har kahin
Padhne aaya khuda khud yahaan
Hamari adhuri kahani
Hamari adhuri kahani