rooh jaga doon
tujhe subah dikha doon
fir tere ghav sehlake aa
main sula doon
aansuon ko
aankhon mein jo tu chupaye
tujhko aaghosh mein main leke
dhun suna doon
dhoondne pe bhi agar
aayun na main jo nazar
tu doob hi jaye
gam ke sare baadlon
ka ruka sa bandh tera
toot hi jaye
zakhmon pe mein
tere marham laga doon
huyi ye palkein jo bhari teri
main bhula doon
rooh jaga doon
aa fir subah dikha doon
bahon mein bhar ke
aa fir wohi dhoon
gunguna doon
mayusi mein jab tere
dil mein ho andhera
main aa jaunga
dhoond ke tere liye
chand ke sunehra
main le aaunga
ghabrao na jao na
jo bikharne lage tera jahan
reh jaunga
aur sawar dunga tera aashiyan
ghabrao na jao na
andheron mein kahin kho jao na
andheron se roshni ki oar tumko hai le jana
tujhko aaghosh mein main leke
gunguna doon dhun suna doon
ghabrao na
jao na jao na