sawal-e-asmaan tha
jawabon se bhara hai
zara dhoop ko baadalon se ladne do oh
is dil ko to gunguna karne do, ae ae
haan kaisi ye hansi hai
jo honthon pe phasi hai
zara gham se to faasle badhne do o
iss din ko to gudgudi karne do ae ae
taake jhanke, hai khushi ki sharaarat kaisi dekho
taake jhanke dekho toh
phurrr se bhaage
ho tum ye fataafat kaise dekho
taake jhanke dekho toh
dil aisi ye jagah hai
ik jhoola sa laga hai
usse khul ke to peengein bharne do o
haan khayalon sa khud ko udne do ae ae
taake jhanke, hai khushi ki sharaarat kaisi dekho
taake jhanke dekho toh
phurrr se bhaage
ho tum ye fataafat kaise dekho
taake jhanke dekho toh
jhad jhad phuljhadi
tu hai roshini ke phuaaron si
bul bul bul bula hai tu, oo
sur hai surmayee
chiri raag tu darbaari si
pallu dhaar ka hai tu, oo
sawal-e-asmaan tha
jawabon se bhara hai
zara dhoop ko baadalon se ladne do oh
is dil ko to gunguna karne do ae ae
taake jhanke, hai khushi ki sharaarat kaisi dekho
taake jhanke dekho toh
phurrr se bhaage
ho tum ye fataafat kaise dekho
taake jhanke dekho toh