is pal mein hi zindagi hai
ab mukammal hua safar
door tak nigaahon ko
kuch bhi aata nahi nazar
tere liye main mar jaaun
to ho jaaun main adaa
sholon mein bhi utar jaaun
to ehsaas na ho zara
toot ke main bikhar jaaun
ho jaaun tujhmein fanaa
haadson se guzar jaaun
to phir jaaunga main sambhal
yehi to hai meri seher
teri kasmein maine khaayi
yeh hai meri dastaan
tujhko hi zameen banayi
aur tujhi ko aasmaan
meri qismat mein likha hai
fikar teri meri wafa
main khud hi nahi hoon khud mein
mujhmein tu hai is kadar
haan yehi to hai meri seher