muskurahat ya nami hogi
jitne gam jitni khushi hogi
baant lenge milke dono kya kami hogi
sang tere zindagi kitni haseen hogi
sang tere zindagi kitni haseen hogi
kitni haseen hogi
dil ne paayi raahatein kam hue kuch gam
jabse meri zindagi mein aa gaye ho tum
meri sooni raat mein
khaali banjar aankh mein khwaab laaye tum
in labon pe phir hansi hogi
ho har taraf bas roshni hogi
aasmaan se khoobsurat yeh zameen hogi
sang tere zindagi kitni haseen hogi
sang tere zindagi kitni haseen hogi
kitni haseen hogi
tune di yeh chaahatein yeh hai tera karam
yoon bhi tanha reh ke thak chuke hai hum
ab na yeh ehsaas hai
behke se jazbaat hai muskuraye hum
mujhko yeh vaada sanam dogi
hmm sath mera har kadam dogi
mere har lamhaat mein haan tum kahin hogi
sang tere zindagi kitni haseen hogi
sang tere zindagi kitni haseen hogi
kitni haseen hogi