kacche dhaagon ka yeh rishta
ban jaata hai bachpan se
marte dum tak saath nibhaye
bandh ke raksha bandhan se
dhaagon se baandhaa
ehsaas dil ke rishte ka
rishta yeh apna rabb ki rubai
main rahun na main tere bina
tu rahe na tu mere bina
main rahun na main tere bina
tu rahe na tu mere bina
char dishaon jaisi tum ho
mere liye zaroori
tum na ho toh har din aadha
har ik shaam adhoori
aadha mujhe rehna nahi
kuch kam lage woh ghar mujhe
jisme koyi behna nahi
yaadon se baandha
jazba yeh apne rishte ka
rishta yeh apna rabb ki rubai
main rahun na main tere bina
tu rahe na tu mere bina
main rahun na main tere bina
tu rahe na tu mere bina