galiyon galiyon charcha hai tu jaadu tona karke
chhukar tu maati peetal haan chandi sona kar de
galiyon galiyon charcha hai tu jaadu tona karke
chhukar tu maati peetal haan chandi sona kar de
kya, kaise aur kab kehna hai saalon se taiyari ki
kya, kaise aur kab kehna hai saalon se taiyari ki
khud tareekhein tay ki saari khud taareekhein taali bhi
jaanti hai na tere saamne bilkul tham sa jaata hoon
hosh sambhala jabse, tujhpe hosh ganwaye jaata hoon
meri chuppi mein se meri baatein chun bhi le
main chup bhi rahun tu sun bhi le
main chup bhi rahun tu sun bhi le
meri chuppi mein se meri baatein chun bhi le
main chup bhi rahun tu sun bhi le
main chup bhi rahun tu sun bhi le
copy ke pichle panne par nazmen tujhpe likhta hoon
tujhko kya hi de paunga main hi man man padhta hoon
sach hain dost purane hain par pyaar bhi ye jhootha to nahi
ye keh doon to rahe na ye bhi bas is se main darta hoon
iss haan aur naa se hatke haaye
is haan aur naa se hatke ek shaayd bun bhi le