mera aasmaan jal gaya re
chaand ko aag lagi
aasman pe raakh hi raakh udi hai
jal gaya mera aasmaan
aankhein behti hai janiya
palkein jalti hain
jeene ka pal pal gaya janiya
jal gaya mera aasmaan
paaon mein veerana
dil mein bhi ujada hai janiya
jaaye kahan deewana
jal gaya mera aasmaan
aadhi aadhi raat mein kabhi
tum neend mein bulati thi
raat jal gayi woh janiya
khwab jal gaya re
baadlon se narm the janiya
hath jo sehlate the
aankhon hi se bolti thi tum
honth to behlate the
mera aasmaan jal gaya re
chaand ko aag lagi
aasman pe raakh hi raakh udi hai
jal gaya mera aasmaan
aag hi aag hai meri
char dishaon mein
pag pag pade hain chhaale
ab mere paaon mein
kaun se jahan mein ab tujhe
jaaun khojun re
mere haar jahan ka nishan
jal gaya jal gaya re
mera aasmaan jal gaya re
chaand ko aag lagi
aasman pe raakh hi raakh udi hai
jal gaya mera aasmaan
aankhein behti hai janiya
palkein jalti hain
jeene ka pal pal gaya janiya
jal gaya mera aasmaan