raaz aankhein teri
sab bayan kar rahi
sun raha dil teri khamoshiyan
kuch kaho na suno
paas mere raho
ishq ki kaisi hai ye gehraiyan
saaya bhi jism se
hota hai kya juda
jitni bhi zor ki ho andhiyan
raaz aankhe teri
sab bayan kar rahi
sun raha dil teri khamoshiyan
jeene ka tu sahara
tu hi roshni
kehta hai har sitara
meri tu chandni
hum juda ho jaaye
aisa mumkin nahi
dhoop ho tum meri
chhaon bhi ho tum hi
paas ho toh door hai tanhaiyan
main chalunga mushkilon mein
saaya ban tera
iss jahan mein uss jahan mein
bas ek tu mera
khushbuon se teri mehke jism mera
raat aayegi toh main subah launga
maut aayegi toh lad jaunga
saaya bhi jism se
hota hai kya juda
jitni bhi zor ki ho andhiyan
kuch kaho na suno
paas mere raho
ishq ki kaisi hai ye gehraiyan