maut aaye jise sakoon mil gaya
ke murjaya hua phool to khil gaya
tadapte to voh hain jo martein nahi
zamane se kuch log dartein nahi
kahe aur kya hum to hairan hai
khuda jane kase yeh insaan hai
kabhi tutkar jo bhikartein nahi
zamane se kuch log dartein nahi
kisi ki bhi parvah kartein nahi
zamane se kuch log dartein nahi
nigahoon mein mausam hai barshat ka
bane kuch bahana mulakat ka
judai mein ab din gujartein nahi
zamane se kuch log dartein nahi
kisi ki parvah kartein nahi
zamane se kuch log dartein nahi
kai jindgi se hare hue
kai jindgi ke mare hue
sabhi maut aane se martein nahi
zamane se kuch log dartein nahi
kisi ki bhi parvah kartein nahi
zamane se kuch log dartein nahi