(Saanwariya saanwariya, main toh huwi baawariya
Tune mann moh liya…saanwariya ho…) -2
Uljha sa ye mann hai, sulgha sa ye tann hai
Sapnon ka saawan hai, nainon ka aangan hai
Chhalke mann gaagariya..saanwariya ho…saanwariya ho…
Saanwariya saanwariya, main toh huwi baawariya
Tune mann moh liya…saanwariya ho…
Tara rara ra ra ra ra ra ra…aa… -2
Jo tu yun paas aaya hai, jo tu yun dil pe chhaaya hai
Toh maine kya paaya hai, kaise kahoon haan
Kahin dhadhkan ki kaliyaan hai, kahin sapnon ki galiyaan hai
Jo mann mein rang-raliyaan hai, kaise kahoon
Tu jo, mujhe, aise, behkaaye, kabhi kabhi mujhe toh badi laaj si aaye
Bhooli hoon main jaise, apni dagariya
Jabse hai dekhi maine, prem nagariya, prem nagariya
Saanwariya saanwariya, main toh huwi baawariya
Tune mann moh liya…saanwariya ho…
Ho…ho…ho…ho…ho…
Tu jo, mila, mujhe, toh ye saara, sama, badal gaya
Khilne lage hain phoolse meri raah mein
Phir yun, laga, mujhe ke ye dharti, nayi huwi
Naya ambar huwa, teri aur meri chaah mein
Chanchal, hawa, taraana koyi gaaye
Nadiya bhi koyi kahaani kehti jaaye
Jabse mili sajna, tujhse najariya
Ho gayi hai sudh-budh ki mujhse gathhariya
Saanwariya saanwariya
Saanwariya saanwariya, main toh huwi baawariya
Tune mann moh liya... saanwariya ho...
Tara rara ra ra ra ra ra ra…aa… -2