Jab se maine tujhko hai jaana
Tab se chaaha tujhko hai paana
Ga raha hoon main kyun ye gaana
Main na jaanu O jaane jaana
Dil bhi mera kehna na maana
Milne ka tujhse dhoondhe bahana
Tera mera banta fasaana
Chaahe jo bhi soche zamaana
Teri yaadon ki baarishon me
Shikwe saare ye dhul gaye
Tujhse milne ki khwahishon me
Khud se bhi hum na mil sake
Mil gayi hain wo raahein
Tujhe dhoondhta firun
Faili hai meri baahein
Par nahi hai tu
Tu hi bata-Tu hi bata-Tu hi bata
Dil ki khata
Tu hi bata-Tu hi bata-Tu hi bata
Manzil ka pata
Sapno me aake tum, needein meri udaa jaati ho
Dil me bas ke tum, dhadkan meri chura jaati ho
Dooriyaan jab bhi tumko, ye satayegi
Khalish banke main tumko yaad aaunga
Jab bhi tumko meri yaad aayegi
Ashq banke main tere paas aaunga
Tere hasne ki aahaton mein
Dard saare ye bhul gaye
Tumse to hum mil gaye par
Dil se dil ye na mil sake
Mil gayi hain wo raahein
Tujhe dhoondhta firun
Faili hai meri baahein
Par nahi hai tu
Tu hi bata-Tu hi bata-Tu hi bata
Dil ki khata
Tu hi bata-Tu hi bata-Tu hi bata
Manzil ka pata
Teri yaadon ke angaaron pe chalke
Teri chaahat ke sholon mein bhi jalke
Aankhon se jo aansu mere chalke
Unse maine ye kaha
Tu hi bata-Tu hi bata-Tu hi bata
Dil ki khata
Tu hi bata-Tu hi bata-Tu hi bata
Manzil ka pata