Besharmiyaan barbaadiyaan
Hain ishq ki shaitaniyaan
Yeh fitoor jo, sar pe sawaar ho
Jeena bhi phir, dushvaar ho
Kiski mazaal koi rok de
Kiski mazaal koi tok de
Ishqe junoon, rukey nahi
Hai bawari, yeh aashiqui
Gustaakh si, yeh aashiqui
Bebaak si, yeh aashiqui
Badi hai ajab kaisi yeh talap
Hai yeh aashiqui
Ziddi badi, badi sarfiri
Hai yeh aashiqui
Hota hai yun iska asar
Duniya jahan ki na khabar
Mazhab yahi, khuda yahi
Hai bawari, yeh aashiqui
Gustaakh si, yeh aashiqui
Bebaak si, yeh aashiqui
Bekhauf si, yeh aashiqui... aashiqui
Jo yeh rang chadhe
Jo yeh sang chale
Toh kya fikar koi, kya kahe
Yeh woh aag hai, jo na bujh sake
Aisi baarishein, jo na tham sakein
Hai bawari, yeh aashiqui
Gustaakh si, yeh aashiqui
Bebaak si, yeh aashiqui
Bekhauf si, yeh aashiqui
(Yeh aashiqui, baawri
Yeh aashiqui
Gustaakh si...)
|
|
|