Shah ka rutba, shehenshao, si teri, baat hai
Ooo.. Shahon ka jo, Shah uska, tere sar pe, haath hai
Tere kadmon, ke tale, mitti bhi sona ban gayi
Jarr hua, dushman jahan, shamsheer teri, tan gayi
Tu wali hai, tu mehrbaan, hai nigehbaan, hai tuhi
Hai farishtey, bhi parashtish, mein teri, qurbaan wallah
Tu wali hai, tu mehrbaan, hai nigehbaan, hai tuhi
Ban gaya kanoon, jo bhi, tu likhe, farmaan, wallah ho...
Nazaara, jannaton ka, aaj tere rubaroo hai
Tera lakht-e-jigar, saaya hai, tera hubahoo hai
Ha sadke, aaj uskey, sar ke sehre, ke sabhi hai
Ke teri sultanat ke, takht ka, woh jaanasheen hai..
Guroor yeh, jalwa rahe
Purtaab haan, guftaar hai
Teri jeet ki raftaar se
Har haar haan istaar hai
Haan teri qismat, khud tere, haathon, khilona ban gayi
Jarr hua, dushman jahan, shamsheer teri, tan gayi
Tu wali hai, tu mehrbaan, hai nigehbaan, hai tuhi
Hai farishtey, bhi parashtish, mein teri, qurbaan wallah
Tu wali hai, tu mehrbaan, hai nigehbaan, hai tuhi
Ban gaya kanoon, jo bhi, tu likhe, wallah, ho...
Garr dewaane aam na ho
Koi Akbar na hua
Jo tumhaare sar jhuke
Toh shehenshaah mein hua
Allah raha mera har pal hafeez
Toh safar yeh tay hua..
Garr dewaane aam na ho
Koi Akbar na hua..
Ya Allah, Ya Maula (x3)
Chaar mazboot, naujawaan kandhe
Tujhko, tere khuda ne, bakshe hai
Inke haathon ki, jo lakeerein hai
Tere dono jahaan, ke nakshey hai..
Zindagi toh har kadam nayi visaat hai
Yeh hi to mere zehmaat hai
Ye dono meri kaaynaat hai
Yaar..
Chaar mazboot, naujawaan kandhe
Tujhko, tere khuda ne, bakshe hai
Inke haathon ki, jo lakeerein hai
Tere dono jahaan, ke nakshey hai..
Ya Allah, Ya Maula (x3)