toofaan toofaan toofaan toofaan toofaan
(abhi aaya nahi hai jo abhi aaya huva hai jo
abhi aanewaala hai jo use toofaan kehate hain
khuda ki shaan kehate hain) - 2
(koi paigaam aaya hai ye tere naam aaya hai
bahot nazdik wo jaalim tera anjaam aaya hai) - 2
nahi pehachaanata kuchh bhi nahi jo jaanata kuchh bhi
nahi jo maanata kuchh bhi use naadaan kehate hain
tujhe shaitaan kehate hain
(badalane lag gaya hai rang mehafil ka sanmbhal ja tu
hawaaye chal padi hain tej chal bachakar nikal ja tu) - 2
nahi to doob jaayega nahi to toot jaayega
use aana hai aayega jise toofaan kehate hain
khuda ki shaan kehate hain
abhi aaya nahi hai jo abhi aaya huva hai jo
abhi aanewaala hai jo use toofaan kehate hain
khuda ki shaan kehate hain
(likhe jaate hai saare faisale to aasamaano par
wahi se bijaliyan girati hain aise beimaano par) - 2
jo hona hai wahi hoga nahi hona nahi hoga
ye hona hain yahi hoga ye sab insaan kehate hain
tujhe shaitaan kehate hain
abhi aaya nahi hai jo abhi aaya huva hai jo
abhi aanewaala hai jo use toofaan kehate hain
khuda ki shaan kehate hain