arey phir se pee liye ho kya
hmm peena hain pilana hain ghamon ko bhulana hain
peena hain pilana hain
maajhi re
ghunt ghunt peeke baiyya paar laga le apani naiyya
maajhi re
peena hain pilana hain ghamon ko bhulana hain
chaar din ka mela hain yeh pyar karle has le gaa le
arthi utha hi lenge arthi uthane wale
haa jeevan bhala kya denge jeevan churane waale
aag bujhaayenge kya raakh banane waale
kal ho na ho peena hain pilana hain ghamon ko bhulana hain
badi keemti hain haseen bande isse khona nahi
jisne jo bhi gham hain diye yaad karke rona nahi
kehne wale kehte rahe sunn ne wale sunte rahe
aanewale aate rahe jaanewale jaate rahe
aansu na baha peena hain pilana hain ghamon ko bhulana hain
maajhi re
peena hain pilana hain ghamon ko bhulana hain