Tum bhi ho, main bhi hoon, paas aao, toh keh doon
Aakhir kyun pal yun diwaana main ho gaya
Tumhein jo maine dekha, tumhein jo maine jaana
Jo hosh tha, woh toh gaya
Badan ki ye khushboo, jataane lagi jaadoo
Toh hoke beqaabu, dil kho gaya
Tumhein jo maine socha, tumhein jo maine maana
Tumhein jo maine dekha, tumhein jo maine jaana
Jo hosh tha, woh toh gaya
Itni kyun, tum khubsoorat ho, ke sab ko hairat ho
Duniya mein sach-much hi rehti hai
Pariyon se bhi zyaada pyaari si ladki koyi
Haan itni kyun, bolo haseen tum ho, jo dekhein gum-sum ho
Dekho na main bhi hoon khoya sa
Behka sa mujhpe bhi chhaayi hai diwaangi
Tumhi ko maine puja, tumhi ko chaaha paana
Tumhein jo maine dekha, tumhein jo maine jaana
Jo hosh tha, woh toh gaya
Badan ki ye khushboo, jataane lagi jaadoo
Toh hoke beqaabu, dil kho gaya
Tumhein jo maine dekha, tumhein jo maine jaana
Jo hosh tha, woh toh gaya
Tum bhi ho, main bhi hoon, paas aao, toh keh doon
Tumne jo dekha toh kya jaane kya ho gaya
Jaane kyun, rehti hoon khoyi si, jaagi na soyi si
Ab dil mein armaan hai saanson mein toofaan hai
Aankhon mein khwaabon ki hai chaandni
Aa jaane kyun, behka sa ye mann hai, mehka sa ye tan hai
Chalti hoon itraake, ithlaake, sharmaake
Balkhaake jaise koyi raagini
Tumhein jo maine samjha, tumhein jo pehchaana
Tumhein jo maine dekha, tumhein jo maine jaana
Jo hosh tha, woh toh gaya
Badan ki ye khushboo, jataane lagi jaadoo
Toh ho hoke beqaabu, dil kho gaya
Tumhein jo maine dekha, tumhein jo maine jaana