ham hain masta maula
apni dhun mein hain magan
dil ke badshaah
jaa re jaa mohbbat teri kya haqeeqat
kab kya rang dikhaye kisko kya pata
ek najar idhar bhi dekh yaar pyar kar
dil diya hain tujhko maine aeitbaar kar
arey yaar tony ek sher yaad aaya
sunau
chal suna
aapki nigaah ne kaha toh kutch jaroor hain
mera dil machal gaya toh mera kya kasoor hain
waah waah kya baat hain
arey goli kyo goli de raha hain yaar
yeh toh kisi picture ka gana hain mere dost
tu original sun aa mera original
suna
maikashi pe is kadar kyo aapko garoor hain
hamko dekhiye hajur bin piye saroor hain
haay kya baat hain kya baat hain
mar gaya
aapki nigaah ka asar hain yeh
ya ke maikashi ka yeh khumar hain
hamko aaisa lag raha hain jaane kyo
ke aapko bhi hamse bahut pyar hain
hamne baat aaj tumse kehni thi yahi
kabse dhundte the magar tum miley nahi
ham hain masta maula
apni dhun mein hain magan
dil ke badshaah
aye sun ek naya sher sun aa sharab ke upar hain
acha suna re
mera apna hain
kabhi maikhane tak jaate hain aur kam hi peete hain
ghata zulfo ki cha jaaye toh bemausam bhi peete hain
arey abhi toh waah bol
arey phir se goli de raha hain yaar yeh toh pankaj udhas ki ghazal hain
arey yaar har baar pakad leta hain tu
chal tu mera sun ekdum original hain ekdum
suna
jo anthi ke adde par jaate hain woh kam kyo peete hain
yeh kaise bewde hain jo peg gin gin ke peete hain
aapke bina na jee sakenge ham
baat yahi sach hain maan lijiye
bebasi hamari jaan lijiye
uske baad chahe jaan lijiye
kaisi bebasi hain aapko hain kaisa gam
ham bhi aapke hain dil bhi aapka sanam
ham hain masta maula
apni dhun mein hain magan
dil ke badshaah
jaa re jaa mohbbat teri kya haqeeqat
kab kya rang dikhaye kisko kya pata
ek najar idhar bhi dekh yaar pyar kar
dil diya hain tujhko maine aeitbaar kar