[aalaap...]
(la,la,la,la,la,la.. la,la,la,la,la..
la,la,la,la,la,la,la)-2
neele neele aasmaa me tu hai,
naazo si kaliyon me tu hai,
dharti ki halchal me tu hai,
jeevan ke har pal me tu hai,
(hey ishwar tu jaane yahaan kya hai kiska shikhar)-2
(tu hai mann ki shakti, asha hai sabki,
tu hi sabka saathi re)-2
hmmmmmmmmmm... sooraj ki garmi me tu hai,
hawaayon ki narmi me tu hai,
behate huye jharno me tu hai,
panchhi ki udaano me tu hai,
haan sab dhoondhte hain yahaan apna apna shikhar,
hey ishwar tu jaane yahaan kya hai kiska shikhar.
(tu hai mann ki shakti, asha hai sabki,
tu hi sabka saathi re)-2
hmmmmmmmmmmm... anand ki har saans tu hai,
pal pal ki ik aas tu hai,
sab door hai paas tu hai,
jag dhoop hai chhanv tu hai,
hum pehchaane kaise niraakaar tera shikhar,
hey ishwar tu jaane yahaan kya hai kiska shikhar.
hey ishwar tu hai sabki raahon ka saccha shikhar...
shikhar.