Jagjit:
gham ka khazana tera bhi hai mera bhi (2)
Both:
yeh nazarana tera bhi hai mera bhi
Lata:
apne gham ka geet bana kar gaa lena (2)
raag puraana tera bhi hai mera bhi (2)
gham ka khazana tera bhi hai mera bhi
Jagjit:
tu mujhko aur main tujhko samjhaaoon kya
Lata:
tu mujhko aur main tujhko samjhaaoon kya
Jagjit:
dil deewana tera bhi hai mera bhi
Lata:
dil deewana tera bhi hai mera bhi
Both:
gham ka khazana tera bhi hai mera bhi
Lata:
shahar mein galiyon galiyon jiska charcha hai (2)
woh afsaana tera bhi hai mera bhi
Jagjit:
maikhane ki baat na kar waiz mujhse (2)
aana jaana tera bhi hai mera bhi
gham ka khazana tera bhi hai mera bhi
Lata:
yeh nazarana tera bhi hai mera bhi
Both:
gham ka khazana tera bhi hai mera bhi