Hum bhi sharaabi, tum bhi sharaabi
Chalke gulaabi, chalke gulaabi
Taqdeer dil ki khaana kharaabi
Jab tak hai jeena khush ho ke jee lein
Jab tak hai peena jee bhar ke pee lein
Hasrat na koi reh jaaye baaki
Kal suboh ke daaman mein, tum hoge na hum honge
Bas reth ke seene par kuch laksh kadam honge
Bas raat bhar ke mehmaan hum hain
Zulfon mein shab ke thode se kam hain
Baaki rahega saagar na saaqi
Mere darwaze se ab chand ko ruksat kar do
Saath aaya hai tumhaare jo tumhaare ghar se
Apne maathe se hata do ye chamakta hua taaj
Fenk do jism se kirnon ka sunahri zewar
Tumhi tanha mera gham khaane mein aa sakti ho
Ek muddat se tumhare hi liye rakha hai
Mere jalte huye seene ka dahakta hua chaand