[Pre-Chorus]
Safar mein rahein
Khabar na rahi
Mein mukhlis tera
Tu darna mat, Dunia jab poochay mukarna mat
Kar sabse judaa
Aur le chal kahin
Raatein subah ban gayin
Aankhon mein neendein bhatakti raheen
[Chorus]
Tu le chal kahin
Tu le chal kahin
Tu le chal kahin
Mein bhatka musaafir hun le chal kahin
Tu le chal kahin
Tu le chal kahin
Tu le chal kahin
Mein bhatka musaafir hun le chal kahin
[Verse]
Khayalat ke pahaad tootay iss zehen pe
Saari zindagi hi jee liye hum is vehem mein
Saadgi mein teri sau husan ke roop dekhe
Ek umer guzaari thi jo teri dil lagi mein
Lafz na kar sakein bayaan meri afsurdgi
Shuru jo tujhse kyun khatam wo aakay mujhpe hi
Ayen abar phir sharaab phir suroor
Phir hua ye inqishaaf ke na mil sakеnge phir kabhi
Uff, kya karein hum terе ru-ba-ru
Kya karein ke hon teri nazar mein surkhrooh
Hokay reh gaye hain tere
Tere bin mein nahi hun 'sane and I’m faded
Nai taapi goli gaanay likhe dil pe rog he itnay
Kya khushi mein teri shaamil hon jab sog he itnay
Kese simat jayen fori hum barson kay bikhray
Farash bhar chukay hain jaan ab hum arshon pe likhrahy
Ab hum kalam ese torein jese dil ke tukray
Tum pe sab karein ayaan hum baaqi sab se chhup rahy
Ek dafa ki dil ki baat aur phir hamesha chup rahay
Tumnay sun ke na suni tabhi hum keh ke mukrein
Tum na aye humein khayein bas tumhari fikarein
Aaj jaynge bazaar phir ye lafz biknay
Dil tham gaya hai khwaahishein hain mar chuki
Mein reh-guzar tha uska aur ab wo guzar chuki
[Pre-Chorus]
Safar mein rahein
Khabar na rahi
Mein mukhlis tera
Tu darna mat, Dunia jab poochay mukarna mat
Kar sabse judaa
Aur le chal kahin
Raatein subah ban gayin
Aankhon mein neendein bhatakti raheen
[Chorus]
Tu le chal kahin
Tu le chal kahin
Tu le chal kahin
Mein bhatka musaafir hun le chal kahin
Tu le chal kahin
Tu le chal kahin
Tu le chal kahin
Mein bhatka musaafir hun le chal kahin