[Verse 1: Talha Anjum]
Yeah!
Tu likhe dard
Tou main aage behisaab likhu
Tu likhe sham
Main gam, gilley aur sharaab likhu
Tu guzra zamaana lage
Main tujhpe kitab likhu
Riyazi kamjor meri
Duniya ghadbadi karti hisab mein kyu?
Khuli kitaab bhi hu
Rehta hu khud mein ek raaz sa kyu?
Urdu rap ko main lazim hu
Urdu rap mein main naazil hu
Apne khwab kiye pure
Apno ki ummeede naz ka qatil hu
Apne khwab kiye pure
Khwab manjhil hai aur main ek musafir hu
Khuda ne di hai ye izzat
Kasam khuda ki main nahi tha iss layak bhi
Angrezi rappers ko sunta tha
Tooti footi jaisi bhi samajh aai thi
Mein sirf karna chahta shaayari
Meri kala lagi logo ko kahili
Maa ne har khwahish ki puri
Zarurat me bani baap bhi bhai bhi
Main likhta ni kalam se
Kahi aasuo se bikhar jaye na shaayari
Andar se hum sab udaas hai
Muskurahatein hai zahiri
Came from a broken family
Music hi mera escape tha
Mudke ab dekhta haal ajeeb tha
Ab main lakho mein ye gaane bechta
Ab main kehta hu zindagi stage si
Jo main na karu vo nahi mainstream
Main badtameez lekin mehnati
Main fans ke dil mein rahu rent free
Meri jebo mein note bhare pant ki
I only show you what you can see
Maine jaan laga di ki log mujhe jaane
Abb irritate karti attention
Mujhe khoke pe log rokey photo ke liye
Pasand nahi hai nikalna ghar se
Zimmedari se kehta hu gusse ki asal wajah
Aksar banti chars hai
Hum maslo ko dekhte hai face value pe
Nai pakar patey unhe jarr se
Main sunane baitha jo apni toh pucho ge
Kya wo dard bhi dard the par
[Chrous: Jokhay]
Abhi jaa nahi
Dil khali hai teri zarurat hai
Nazarein bula rahin
Abhi jaa nahi
Jiske hone se tha saya kadi dhoop mein
Jo sach dhoond leta tha mere har jhut mein
Ristey amar hai ye rabtay nahi tutte
Abhi jaa nahi
Jiske hone se tha saya kadi dhoop mein
Jo sach dhoond leta tha mere har jhut mein
Ristey amar hai ye rabtay nahi tutte
Abhi jaa nahi
[Verse 2: Hashim Nawaz]
Tha waqt jab kehne ko lafz nahi the
Ab jab labz hai waqt nahi
Each day tera bhai kara evolve
Baki ye laundey hai ab bhi wahin
Nahi banegi tu meri fantasy
But still you'll be my fan to see me rap
Inke liye na kabhi karta hu gaari reverse phir
Karunga main kaise inhe back
Log karte shor jinke bich hu main
Jo bhi sune mujhe uske karib hu main
Rangeen hu garibon ki sohabat se door hoke
Samajh baitha khud ko ameer hu main
Mere sath waley sath waley kamarein mein
Aur iss kamrey mein gair mere sath hein
Thoda jag raha jyada main sapne mein
Awaam kab tak karunga bardaast yeh?
Zarf bant de bole kalam mere hath mein
Kabhi kabhi hote sher bina kafiye
Mehmaan saare apne hi gharo mein
Insaan sada mauhtaj agli saans ke
Inhe khush karna lage mehaz hasrat
Mukhtalif log lete mukhtalif matlab
In baaton ka main waqt kaise nikal ke dekhu
Ke hain ye naraz ya karte hain nafrat
Khair jo bhi hai inka shukriya
Jis jis ne bhi likhney ko lafz diya
Paas taqht inki jodta par kursiya
Begharz thoda khud ko hai kardiya
Maine ghar diya inke dilon mein khud ko
Jaati over headlines meri khabar tum ko
Main ek talib ilm khojta jawab
Kafi liya sikh lekin dhund paya nahi khud ko
Khanabadosh main do mjhe dosh nahi
Tum mujhe jaante bas ho mere dost ni
Agar main khalayi makhlooq tere mutabiq
To mere aagey yun hawa mein jor nahi
Toofan tera bhai jab bhi karein kaam
If i drink and drive toh traffic honi nahi jaam
Zein pe jor de kon main bol de
Bhai tera koyale mein heera khultey inke nahi kaan
Mujhe na pata kya mera hai level?
Kya ye lete hai mera naam?
Main rahunga yaha par kahunga
Kiya tha rap talha anjum ke sath
Mein sidein nahi leta tum meri iss aadat ki wajah se hona naraaz
Inki nazar mein hu kya kuch nahi main
Jo nahi toh bas kalakar
[Chrous: Jokhay]
Abhi jaa nahi
Dil khaali hai teri zarurat hai
Nazarein bula rahin
Abhi jaa nahi
Jiske hone se tha saaya kadi dhoop mein
Jo sach dhoond leta tha mere har jhut mein
Ristey amar hain ye raabtay nahi tutte
Abhi jaa nahi
Jiske hone se tha saaya kadi dhoop mein
Jo sach dhoond leta tha mere har jhut mein
Ristey amar hain ye raabtay nahi tutte
Abhi jaa nahi