[Verse 1]
Mashoor-e-zamana hai, teri jawani ye
Tu sabki chahat hai, tujhay kya chahiye?
Dil ko zakham hai mayassar
Marham ka nahi hai tasawur
Mein ukhra sa rehta hun aksar
Be-dili ka ye kaisa tasalsal
Meri raatein hain roshan aur din mein andhere hein
Bhari mehfilon mein bhi hum kitnay akele hein
Tu duniya ki ho hi gayi
Muhabbat humari ab kho si gayi
Tujhay dhundhunga itni shiddat se mein
Mujhay thori muddat tu de tou sahi
[Chorus]
Jaisay raat ki raani
Mehek uthe samaa
Tu khile jahaan
Chaand ki tarah
Roshni lutati phire wahan
Jaisay raat ki raani
Teri chahatein, sohbatein
Kya hi raunaqein
Tujhko chhu le jo woh tou jal hi gaya
Jaisay raat ki raani
Teri chaandni hi tou chahte sab
Jaisay raat ki raani
Sab khinchte jaayen teri taraf
Jaisay raat ki raani
Teri chaandni hi tou chahte sab
Jaisay raat ki raani
Sab khinchte jaayen teri taraf
[Verse 2]
Woh tera chale aana
Woh mera muskurana
Ab kahan woh riwayat
Ab kahan woh zamana
Tera aankhon se pilana
Girake phir uthana
Na raha woh suroor
Na mile woh mehkhana
Na, Na!
O jaanam!
Through the pain, and the fame, and the stardom
Khudsay hi nahi rahay aazaad hum
Khud ko karenge khud hi barbaad hum
Jab aayi teri yaad ab
Toh khol leta hun wahi kitaab ab
Phir karta hun wahi mein hisaab ab
Bhala chaand ke bhi gin sakenge dhaag hum
O jaanam
[Chorus]
Jaisay raat ki raani
Mehek uthe samaa
Tu khile jahaan
Chaand ki tarah
Roshni lutati phire wahan
Jaisay raat ki raani
Teri chahatein, sohbatein
Kya hi raunaqein
Tujhko chhu le jo woh tou jal hi gaya
Jaisay raat ki raani
Teri chaandni hi tou chahte sab
Jaisay raat ki raani
Sab khinchte jaayen teri taraf
Jaisay raat ki raani
Teri chaandni hi tou chahte sab
Jaisay raat ki raani
Sab khinchte jaayen teri taraf