[Chorus: Ali Saffudin]
Yewaan kanh te wanaan keh ti
Aes ha chi bozaan, wuchaan wuchaan yeti ha baaya firukh sersi faan
Yewaan kanh te wanaan keh ti
Aes ha chi bozaan, wuchaan wuchaan yeti ha baaya firukh sersi faan
[Interlude: Ahmer]
Akh, ze
Waleo diyo kann
Ghulaami na manzoor
Azaadi
[Verse 1: Ahmer]
Har insaan bana mufti yahan kitne hain khuda
Parde ke peeche chalta sab aur dete mujhe salaah
Wo kehte mausiqi se milta kuch nahi
Mai bola mausiqi se duniya hil gayi
Ham nakaam nahi
Ham anjaan nahi
Haq ki awaaz hain to kaise ye paigham nahi?
Yahan gunehgaar bane phire hain imaam kayin
Mere gardan pe hai talwaar ye asaan nahi
Ladte qalam se ham, hamari na qadar
Chalte ham aandhiyon me ho ke be fikar
Ladkiyon ko taadhe baap ke umar ke
Kaash inpe padhti inki maa behen ki nazar
Inhe lagta ham to ayyaash ab kya hi karte?
Bante ham logon ki awaaz aur milta hasad hai kyun?
Itni nafrat hai kyun?
Poocho fitrat se
[Chorus: Ali Saffudin]
Yewaan kanh te wanaan keh ti
Aes ha chi bozaan, wuchaan wuchaan yeti ha baaya firukh sersi faan
Yewaan kanh te wanaan keh ti
Aes ha chi bozaan, wuchaan wuchaan yeti ha baaya firukh sersi faan
Dazaan Dazaan Dazaan
Yan zaai aesi wuch tan soori dazaan
[? ]
Yena Bulbul su de ha sui azaan
[Verse 2: Tufail]
Ab ye maange mujhse mere kaagzaat
Domicile nahi matlab usse matlab mera marks card
Pooche "kon hai ye? rapper karta bas bakwas"
Inhe bolu kya mai? Padh ke aata Karl Marx
Class marks mere, kisi kaam ke nahi hai
Baat haq ki karun to inhe lagta dahi hai
Inke mann ke dwara karun to lagta sahi hai
Behsake phir aankhen rakhte wahi hain
Mai jo bhi kheenchu lakeerein inn panno pe
Ye bas nika lenge nuks
Maanu mai kheenchenge niche har baari
Ye qalam bhi kare na uff
Khoon paseene se laya khareed mai
Qalam ye nahi hai muft
Jab bhi ye gaane bajenge takhallus hamare kaise honge lupt
[Verse 3: Arsalan]
Gupt baate jin ka karna faash
Mujhe marna, zinda rahegi meri awaaz
Dete nahi dharna, qalam banate apni talwaar
Jhukate sar na, lahoo hamara jaise angaar
Ye gaane Testament of Hope, mai Martin Luther
Ye chahte khaun inse khawf, mai Leo Major
Dete mashwara jahil qoum, khud jo hai be ghar
Inki sunta hi hai kon? Dikhate zevar
Ham ek safar mai jis me biche hain kaante
Bande kafan me phir bhi ham haar na maane
Andhe nahi, jo dekhe wahi batate
Tumse lakh gunah behtar apne haq ko pehchane
[Chorus: Ali Saffudin]
Yewaan kanh te wanaan keh ti
Aes ha chi bozaan, wuchaan wuchaan yeti ha baaya firukh sersi faan
[Outro: Ali Saffudin]
Dazaan, Dazaan, Dazaan
Yan zaai aesi wuch tan soori dazaan
[? ]
Yena Bulbul su de ha sui azaan