[Intro: Tufail]
Aess bozaan na keansi panin phataan track seari uff
Yi meel bharaan warqan peth ti seari csalaan dukh
Aess mic rataan roozith gasaan scenas diwaan csikh
Dambael karaan binyul anaan dekkan csalaan drikh
[Chorus: Arsalan & Tufail]
Ye saare kare uff!
Ye saare kare uff!
Jab bhi aate bhai do mic pe koode ladke sunke hook
Ye saare kare uff!
Ye saare kare uff!
Jab bhi ghuste bhai do studio sunke ladke badle rukh
[Verse 1: Arsalan]
Goli khayi raat se theek nahi
Khoyi ek chain bhi kal kahi
Woh dhunde mujhe mere apartment mein
Phone mera off koi fuck nahi
Tufail bola "chai ko chalte kya?"
Shehеr chorda bete koi waqt nai
Tu mujhe aakе deta bashan lodu
Tu mera kaun hai tera koi haq nahi
Luck nahi ye mehnat hai bete
Dekhe jo bhi khwaab aj woh haqeeqat hai
Naghma har rehmat hai jaani
Laafani bande hum likhdete zeenatein
Andhere mein seerat hum aakhri
SOS laqab ek khoon maangein qeematein
Ladte museebat se datke
Chore maidaan naa door kare dikatein shikast har biddatein
Hum Dal ke kinaaro pa chill karte
Beatein kinaaro pa kill karte
Gayab zamane se ibrat le
Saqib bas raat mein chamakte
Noor hai kala ye qasam se
Rishta har gehra har nazam se
Suqoon de qalb ko chookar dekh
Jism do rooh par ek
Mai aalim hun zaalim ko du na jawab mai tere sawaal ka karu kya?
Mai akhir zamaane ka aakhir ashaar tu khaali kitaab mai padhu kya?
Mai nikla kamaane tha gurbat mein pyar par paisa na paas toh koi na
Du dakhal na apne mein rehta janaab hai shayar khitaab du dokhe na
[Verse 2: Tufail]
Kuch cheezein thi na mere layak
Kuch cheezein na qismat mein shayad
Taqaza tha waqt ka sara jinaab, na janu hai hota kya kayar ?
Libaas hai kafan, toh likh ke hum nazam inn bando ka kare safaya
Awaaz mein wazan aur qalam mein adab bhai yunhi na bana mai shayar
Bande ho din mein gayab
Mere pa rab ka saaya
City ko map pa laaya
Janu na kaise kab chaaya
Khoya khud tabhi khud paya
Sare yaha bewafa par junhi aata koi gaana bahar kare call puche haal chaal, padhu chaal daal chale chaar chaal
Lodu phone kaat lage chaar chaand bhai tera abh hawa mein
Ye hona tha likha tha sara taqdeer mein
Dekha jo khwaab abh sabit tabeer mai
Gurbat ye kala toh sabse gareeb mai
Furqat se mila toh aya qareeb mai
Murshid ye qalam toh bana mureed
Mai dushman ko paas hun rakhta habeeb se
Sikha har harf se ahmad zareef mai
Shifa har harf de, bande mareez ye
[Chorus: Arsalan & Tufail]
Ye saare kare uff!
Ye saare kare uff!
Jab bhi aate bhai do mic pe koode ladke sunke hook
Ye saare kare uff!
Ye saare kare uff!
Jab bhi ghuste bhai do studio sunke ladke badle rukh
Ye saare kare uff!
Ye saare kare uff!
Jab bhi aate bhai do mic pe koode ladke sunke hook
Ye saare kare uff!
Ye saare kare uff!
Jab bhi ghuste bhai do studio sunke ladke badle rukh