[PART I]
[Chorus: Aatankki]
Bechainee se aati na nind
Shayad mai dil ka mariz
Jo chaha tha kabhi ab sab kuch ho paas
Par tabhi bhi aati na feel
Wahi toh mera hakim
Maula hi mera azim
Sajdon mein karta hai mujhse wo baatein
Wo rehta hai mere kareeb
Bechainee se aati na nind
Shayad mai dil ka mariz
Jo chaha tha kabhi ab sab kuch ho paas
Par tabhi bhi aati na feel
Wahi toh mera Hakim
Maula hi mera azim
Sajdon mein karta hai mujhse wo baatein
Wo rehta hai mere kareeb
[Verse: Aatankki]
Wo kehta hai "Tu gunehgaar par
Abhi bhi waqt hai jaake tu laut ja
In nasho mein rakha hai kuch nai
Paise mein sukh nai
Kandhe pe bojh sa"
Bas kala laa-faanii teri jo tu likhega bande azaab na uska
Haram hai mausiqi par mai to bayaan karoon mere dard-e-dil ka
Mujhe pata hai khuda tu naaraz hai mujhse
Kyuki mai kaafi samay tujhse dur raha tujhe pyaar hai mujhse
Tauba qubool kar mera mujhe guruur hai tera
Yе mahz ek gaana ni khat tere liyе maula
Aakhri bachi ek aas hai tujhpe
Mujhe bhi maula de hikmat
Karoon mai bhi teri khidmat
Mai bhi miloon tujhe safo mein
Mangoon mai bhi tujhe gir kar
Kaabu shaitan ka dil par
Ise azad kar mil kar
Mujhe aawaz aur kalam ko takaat de maula
Is bande pe rehem kar
[Chorus: Aatankki]
Bechainee se aati na nind
Shayad mai dil ka mariz
Jo chaha tha kabhi ab sab kuch ho paas
Par tabhi bhi aati na feel
Wahi toh mera hakim
Maula hi mera azim
Sajdon mein karta hai mujhse wo baatein
Wo rehta hai mere kareeb
Bechainee se aati na nind
[Outro: Aatankki]
Andhera
Kaafi andhera
Aur waqt tha Fajr ka
Mai utha tha karke Bismillah
Aaya tha dene mujhe daawat
Ek din maut ka farishta
Mujhse has ke kehta padhi kitaabon ka to misra
Adam saath hai, tu bande mitti mein dafan mitega
[PART II]
[Verse: Aatankki]
Aab-e-taar tere andar khud ko khojna seekh jaani
Zulfeqar hai ye kalam kaatein aag se jo paani
Nikla kamane tu paisa lauta leke bekarari
Khud ke sawaalon mein kaid
Yaadein mausiqi bana di
Sabse upar apna da'amat
Kyuki paise buri aadat
Maula rakhega salaamat
Yaha shaitan beche laanat
To imaan teri taakat
Sun azaan kar kazah mat
Ek aur mauka mang khuda se jaani
Paas hai Qayamat
[Chorus: Aatankki]
Khuda yaad aata muskilon mein saath jab na koi
Khuda waha mila mujhe jaha ummeed na thi koi
Bande manng ke to dekh pehla aakhri hai wohi
Wo to sunta hai uski bhi jiska khuda nahi koi
Khuda yaad aata muskilon mein saath jab na koi
Khuda waha mila mujhe jaha ummeed na thi koi
Bande manng ke to dekh pehla aakhri hai wohi
Wo to sunta hai uski bhi jiska khuda nahi koi