[Chorus: Tufail]
Naaro mein maangi azaadi, awazein daba di
Kara di khoon rezi
Saalo se apni pahadi, abadi ujaadi
Kara di khoon rezi
Haathon mein qalam siyahi, Marte na misray ye
Kar lo tum khoon rezi
Hum toh bas darte illahi se, Darte na dushman se
Kar lo tum khoon rezi
Naaro mein maangi azaadi, awazein daba di
Kara di khoon rezi
Saalo se apni pahadi, abadi ujaadi
Kara di khoon rezi
Haathon mein qalam siyahi, Marte na misray ye
Kar lo tum khoon rezi
Hum toh bas darte illahi se, Darte na dushman se
Kar lo tum khoon rezi
[Verse 1: Arsalan]
Suraj hai sar pe, aankhon mein andhera
Har gully hr nukar pe hai zaalim ka pehra
Dena chahta jo hai maut hume
Andar ki bolu toh khauf hume
Mujhse hi ladta ye mere he haq pe
Munh jo mai kholu ye gooli se dhakte
Hum bhi pahadi hum inse na darte
Duniya bhi bholi jo media ki sunte
Hum se na pooche ye hum kya hai chahte
Iraade azaadi ke mann mein kyu aayein?
Idaare dukaane band kaha ko jaaye?
Maare ye kaate jo haaton mein aaye
Sahare patthar ke hum gooli jalaye
Qisse bataye ye saare hai raakshas
Qalam uthaya aur bhara ye kagaz
Naam mein aatank hai aur qalam mein taqat
Rahat na yaha kahi bhi hai jannat kaise ye tum hi batao?
Maaro ya kaato, jeetenge hum he ye daao
Chahe tum cheekti awazein dabao
Ruke na pao
Keh do ki honi hai raat ki subhe bhi
Gharo mein qaid, lekin hum jukke nai
Apne hi ghair, toh ghairon se rakhu umeedein nai
[Bridge: Tufail & Arsalan]
Umeedein nai
Ghairon se rakhu umeedein nai
Kyunki
Woh meri sune nai
Meri woh bilkul bhi sune nai
Kyunki
Aata mai haan
Pahaadi pahaadi se
Gaata mai kya?
Azaadi azaadi re
[Verse 2: Tufail]
Kya bolu mai tumko iss faansi ke fande mein kaise hum fasse hai
Chupke se naag ye kaise sab dasse hai
Maatam ki mehfilo mein saale hasse hai
70 saalon se masley ye dabbe hai
Baddtar kaandon se kaise sab chade hai
Hattkar qatil ye mujrim na thehre hai
Chehre pa chehre gehre saare behre hai behre hai
Sehre mein chaal chalta ye kursi pa baitha hai baatil
Lootere ye jaan ke sutli pe aake betha de musafir
Lehre hai laal laashein kinaare pa khooni hai sahil
Sunehri si jaan thi jisko bhi hui shahadat hai haasil
Kis qabil ka fazil?
Tu jahil kitaabe nai padhta kya?
Na Gita, na Bible?
Tu agha ke jumley nai padhta kya?
Tu maazi ko fursat se padhta kya?
Aankho se dupatta ni hatt ta kya?
Ghante ki tu malumat ko rakhta
Aur L mera GK tu bheje mein rakhta yaar
[Chorus: Tufail]
Naaro mein maangi azaadi, awazein daba di
Kara di khoon rezi
Saalo se apni pahadi, abadi ujaadi
Kara di khoon rezi
Haathon mein qalam siyahi, Marte na misray ye
Kar lo tum khoon rezi
Hum toh bas darte illahi se, Darte na dushman se
Kar lo tum khoon rezi
Naaro mein maangi azaadi, awazein daba di
Kara di khoon rezi
Saalo se apni pahadi, abadi ujaadi
Kara di khoon rezi
Haathon mein qalam siyahi, Marte na misray ye
Kar lo tum khoon rezi
Hum toh bas darte illahi se, Darte na dushman se
Kar lo tum khoon rezi
[Outro: Tufail]
Khoon rezi