Sapna hai sach hai
Ki jadoon hai ya jane kya hai
Behta samay ik pal ko
Yahi tham gaya hai
Lagta hai tha likha
Tu hai mere liye
Aur mujhe bhi tera
Hona hi tha
Kitne din tha ye mantar sa
Jeena har pal tha dubhar sa
Kal jeevan tha soona soona
Sukh ka baadal ab hai barsa
Jaise panchhi ambar paaye
Jaise nadiya sagar paaye
Aise Maine tumko paaya
Jaise radha girdhar paaye
Lagta hai tha likha
Tu hai mere liye
Aur mujhe bhi tera
Hona hi tha
Jaagi aasha kabki soyi
Tum ho main hoon, aur na koi
Door kahi par ho apna ghar
Sochu main ye khoyi khoyi
Kehne ko jo mera mann hai
Ab wo tera singhasan
Tera pehra inn saanson par
Teri jogan ye dhadkan hai
Lagta hai tha likha
Tu hai mere liye
Aur mujhe bhi tera
Hona hi tha