Aashiyaana mera saath tere hai na
Dhoondte teri gali mujhko ghar mila
Aab-o-daana mera haath tere hai na
Dhoondte tera khuda mujhko rab mila
Tu jo mila
Tu jo mila
Meharbaani jaate-jaate mujhpe kar gaya
Guzarta saa lamha ek daaman bhar gaya
Tera nazaara mila, roshan sitaara mila
Kehte hain khuda ne is jahan me sabhi ke liye
Kisi na kisi ko hai banaaya har kisi ke liye
Tera milna hai uss rab ka ishaara
Maano mujhko banaya tere jaise hi kisi ke liye
Kuch toh hai tujh se raabta
Kuch toh hai tujh se raabta
Kaise hum jaane humein kya pataa
Kyunki tu dhadkan main dil
Tu jo mila
Tu jo mila
Rooth jaana tera
Maan jaana mera
Dhoondhte teri hansi
Mill gayi khushi
Raah hoon main teri
Rooh hai tu meri
Dhoondhte tere nishaan
Mill gayi khudi
Meharbaani jaate-jaate mujhpe kar gaya
Guzarta saa lamha ek daaman bhar gaya
Tera nazaara mila, roshan sitaara mila
Tu jo mila, lo ho gaya main qaabil
Tu jo mila, toh ho gaya sab haasil haan!
Kyunki tu dhadkan main dil
Tu jo mila
Tu humsafar hai
Phir kya fikar hai
Jeene ki wajah yehi hai
Marna issi ke liye
Kuch toh hai tujh se raabta
Kuch toh hai tujh se raabta
Kaise hum jaane humein kya pata