[Verse 1: Arijit Singh]
Mere hothon se dhuandhaar nikalti hai jo boli
Jaise, jaise bandook ki goli
Mere tevar mein hai tehzeeb ki rangeen rangoli
Jaise, jaise ho Eid meiin Holi
Mere hothon se dhuaandhaar nikalti hai jo boli
Jaise, jaise bandook ki goli
Mere tevar mein hai tehzeeb ki rangeen rangoli
Jaise, jaise ho Eid mein Holi
[Chorus: Arijit Singh]
Mere jeevan ki dasha
Thoda raston ka nasha
Thodi manzil ki pyaas hai
Baaki sab first class hai
Baaki sab first class hai
Baaki sab first class hai
Haan kasam se
Baaki sab first class hai
[Verse 2: Arijit Singh]
Pal mein tola, pal mein masha
Jaisi baazi waisa pasha
Apni thodi hattke duniyadaari hai
Karna kya hai chandi sona
Jitna paana, utna khona
Hum to dil ke dhande ke vyapari hain
[Bridge: Arijit Singh]
Meri muskaan liye kabhi aati hai subah
Kabhi shamein udaas hai
Baaki sab first class hai
Baaki sab first class hai
Baaki sab first class hai
Haan, kasam se
Baaki sab first class hai
[Verse 3: Neeti Mohan]
Ho, sabke hothon pe charcha tera
Bantta galiyon mein parcha tera
Yun to aashiq hain laakhon magar
Sabse ooncha hai darjaa tera
Jeb mein ho athanni bhale
Chalta noton mein kharcha tera
Yu to aashiq hain laakhon magar
Sabse ooncha hai darjaa tera
Sabse ooncha hai darjaa tera
[Hook: Arijit Singh]
Meri taareef se chhupti phire badnaamiyan meri
Jaise, jaise ho aankh micholi
Mere tevar mein hai tehzeeb ki rangeen rangoli
Jaise, jaise ho Eid mein Holi
[Chorus: Arijit Singh & Neeti Mohan]
Mere jeevan ki dasha
Thoda raston ka nasha
Thodi manzil ki pyaas hai
Baaki sab first class hai
Baaki sab first class hai
Baaki sab first class hai
Haan, kasam se
Baaki sab first class hai, haan