[Verse 1: Ramil Ganjoo]
Tere sirhaane mein rakhi
Mere dil ki ek tees hai
Khaamkha satati woh
Bewaqt chali aati hai
[Pre-Chorus: Ramil Ganjoo]
Kya hai yeh majra?
[Chorus: Ramil Ganjoo]
Abh tu hi bata de, kya khala hai?
Iss marz ki kya dava hai?
Tu bata de, kya khala hai?
Iss marz ki kya dava hai?
[Verse 2: Vidhya Gopal]
Bewakoof sa lage dil mera kabhi-kabhi
Bewakoofi toh humne ki saari baatein ko samjhne ki
Dil ki duniya mein do-do; paanch, kabhi hain khaali
Naasamajh saa dekhe, iski har baazi main haari
[Pre-Chorus: Vidhya Gopal]
Kya hai yeh majra?
[Chorus: Vidhya Gopal]
Abh kya hi batauin, kya khala hai
Iss marz ki na dava hai
Kya batauin, kya khala hai
Iss marz ki na dava hai